بسم اللہ الرحمن الرحیم
 صلی اللہ علیہ والہ وسلم
اسلام علیکم

Suraj grahan 26 Dec 2019:

Sun eclipse 

26 Dec 2019 ko suraj grahan lage ga ye seb kam allah tala ki marzi se hi hote hai laikin is ki khaternaak layers ae se bachne bohat zaroori ha  allah ham seb ko apne hifzo imaan ma rakhe ham ap ko is ki sari detail batai gai ye q aur keb lagta ha. Is se pehle keb laga tha aur is dafa ye kitni dair tak rahe ga is ki mukamal timing aue is se kaise bacha ja sake. 

Timing:

26 Dec 2019 ko suraj grahan suba 7:00 baje se shuru ho jaye ga aur 10:15 baje ye mukamal lag giya ho ga yani us wakt ye bohat khaternaak ho ga. 1:00 baje k kareeb ye khatam ho jaye ga. 

Is se pehle suraj grahan keb laga tha.

Aj se 20 saal pehle 1999 ma suraj grahan laga tha jo mukamal tor per suraj per laga tha aur ab 26 Dec 2019 ko us taraha ka seb se bara aur khaternaak suraj grahan lage ga.

Suraj grahan keb lagta ha. 


Hamari zameen suraj k gird chaker laga rahi hoti ha aur chaand zameen k ghird to chand zameen aur suraj k darmiyan ma ajata ha aur zameen use apni tarf khainchti ha aur chaand apni tarf ise chaand wahi per taiher jata ha is halat ma suraj grahan lag jata ha. Agher chaand zameen ya suraj ki tarf chala jaye to her cheeze khatam ho jaye gi. 

Ihtiyati tadabeer.

Seb se ziada zaroori to ye ha k her koi apne ghar ma hi rahe bache aur buroo ko to hergiz hi bahir na niklne diya jaye aur naojawan kisi majboori ki waja se bahir nikle bhi to asmaan ki tarf na daikhe. Hargiz bhi koi sunglasses laga ker bhi suraj ki tarf na daikhe waise sunglasses ka istamaal us wakt zaroor kare aur sirf filter wali sunglasses k sath hi daike.

Side Effects:

Suraj grahan ki layers bohat ziada khaternaak hoti hai jeb suraj grahan laga ho to us wakt ki tarf daikhne se ap hamesha k liye apni ankho ki roshni ko khatam ker baite gai. Khas to per is ka ziada aser bacho aur buroo aur pragnant aurat per hota ha laikin her kisi ko is se bachna zaroori ha.